Muhammad Waqas | Organizer
Muhammad Waqas | Organizer
Assalam-o-Alaikum,
Main Muhammad waqas hoon, Karachi se. Aaj bohot bhari dil ke sath yeh paigham likh raha hoon. Meri zindagi is waqt ek bohot mushkil daur se guzar rahi hai. Mere kandhon par mere boodhay walidain, meri saas, aur mere teen masoom bacchon ki zimmedari hai.
Main mehnat karne se kabhi nahi ghabraya, maine apne chote se ghar ke karobar (Ayzal Bridal Cone aur Madiha's Kitchen) ke zariye apne khandan ko sambhalne ki poori koshish ki, lekin halaat ne mujhe is mod par la khada kiya hai ke mujh par bohot zyada qarza ho gaya hai. Har din guzarna ek azmaish ban chuka hai. Mujh par apne ghar ka kharcha chalane ka bohot dabao hai, aur main apne bacchon ka mustaqbil dhundla hota dekh kar bohot pareshan aur mayoos hoon.
Main koi aisa kaam ya madad chahta hoon jisse main apne qarzay utar sakoon aur apne familyr ko ek izzat-daar zindagi de sakoon. Mujhe sirf kuch waqt ke liye sahaaray ki zaroorat hai taake main apne paon par dubara khada ho sakoon.
Allah ke waste, agar koi meri is maali tangi mein madad kar sake, toh yeh mere aur mere bacchon ke liye bohot badi meherbani hogi.
Mujhe aapki duaon aur tawajjo ki sakht zaroorat hai.
JazakAllah Khair.
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.