Muhammad Ashraf | Organizer
Muhammad Ashraf | Organizer
Yeh mere walid hain, Muhammad Ashraf. Joh zehni tor par bemaar hain aur kabhi hamaray ghar ke wahid kamay walay shakhs thay. Afsos ke sath kehna pad raha hai ke unki tabiyat ab aur zyada kharab ho gayi hai, jis ki wajah se woh ab kaam nahi kar sakte aur na hi ghar ka bojh utha sakte hain or is k ilawa hamari taleem k akhrajat.
Meri walida ab akelay sab zimmedariyan smbhal rahi hain, kapray sil kar thoda boht kama leti hain, aur sath hi ghar ke kaam kaaj aur mere walid ka khayal bhi rakh rahi hain.
Unki poori koshish ke bawajood hamari zindagi bohot mushkil hoti ja rahi hai. Hum guzara mushkil se kar rahe hain, isi liye maine yeh campaign shuru ki hai taake apne walidain ke liye kisi tarah ki madad hasil ki ja sake. Aapka saath hamare liye umeed aur sukoon ka sabab ban sakta hai.
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.