ABDUL GHANI | Organizer
ABDUL GHANI | Organizer
Assalam-o-Alaikum,
Mera naam Abdul Ghani hai aur main Pakistan se hoon. Main bohot majboori ke sath aap se madad ki appeal kar raha hoon Mere walid (Abu) ke paas pehle apni chhoti shops thi jin se hamara ghar guzara hota tha. Lekin 4 Saal pehly karobar mein bohot zyada nuqsan ho gaya Is nuqsan ki wajah se hum par bohot zyada qarza charrh gaya, jo ab hamare liye bardasht karna mushkil ho chuka hai Jo karobar kabhi hamari strength tha, aaj wahi hamari sab se bari mushkil ban gaya hai Aaj hamari family financial pressure mein hai Rozana ke kharchat, qarza aur ghar ki zimmedariyan nibhana mushkil hota ja raha hai. Main apni family ka sahara banna chahta hoon lekin resources na hone ki wajah se kuch start nahi kar paa raha Is liye main aap se madad chahta hoon ke mujhe chhota sa karobar shuru karne ke liye support mil jaye. Agar main ek chhota business start kar loon to Main apni family ko support kar sakta hoon Qarza dheere dheere utar sakta hoon
Kisi ke aage haath phailane ke bajaye khud mehnat kar sakta hoon Aap ki chhoti si madad bhi mere liye bohot bari umeed ban sakti hai Aap ki dua aur support se main apni zindagi dobara track par la sakta hoon Agar aap madad nahi bhi kar sakte to please meri appeal ko share kar dein Shayad kisi aur ke liye yeh madad mumkin ho aap ko is ka ajar zaroor milegaDil se shukriya
Support us. Donate today.
Here's what's new:
Organizer
Contact
Beneficiary
Your donation's impact matters to us, we hold ourselves accountable.